Mother’s Day Hindi Poem

Ravi Sethia
1 min readMay 13, 2017

--

Maa, wo din achhe the jab
tere aanchal mein sar rakhe bina ghanto bhi nahi gujrte the,
Ab to mahinon beet jaate hain us pal ko taraste taraste

Maa, wo din achhe the jab
tere haathon k bina
ek niwala nahi khate the,
ab to tere haathon se bane khane ko taras jaate hain

Maa, wo din achhe the jab
teri Lori se sote aur kabhi pyaar kabhi phatkaar se uth jaate the,
ab to teri ek pukaar to taras jaate hain

Maa, wo din achhe the jab
har kisi ki daant se bachane
ko tu hoti thi
Ab to teri hi daant sunne ko taras jaate hain

Maa, wo din achhe the jab hamari saari fikr tu karti thi aur hum mast maula bindaas the
Ab tere hone k ehaass se khud to khushnaseeb samajhte hai aur thodi fikr hume bhi teri hai

:)

Happy Mother’s Day

--

--

Ravi Sethia
Ravi Sethia

Written by Ravi Sethia

Founder & CEO @ Udhaar, Consights Tech | Comp Science & Engg @ IIT Guwahati, Analytics, Data Science, Ideas, Startups, Amateur Poet, Curious Explorer @_curiousx

No responses yet